1. GHair leiN mehfil meiN bose jaam ke
ham rahaiN yooN tishna_lab paiGHaam ke
[ bosa = kiss, tishna = thirsty ]
2. KHastagee ka tumse kya shikwa ki ye
hathkanDe haiN charKH-e-neelee_faam ke
[ KHastagee = injury/sickness, shikawa = complaint,
hathkanDe = tactics, charKH = sky, neelee_faam = blue colour/
complexion ]
3. KHat likhenge garche matlab kuchch na ho
ham to aashiq haiN tumhaare naam ke
4. raat pee zamzam pe mai aur subh_dam
dhoye dhab’be jaam-e-’eharaam ke
[ zamzam = a well in Kaba whose water is considered holy,
mai = wine, subh_dam = at dawn, 'eharaam = dress for 'haj' ]
5. dil ko aaNkhoN ne fasaaya kya magar
ye bhee halqe haiN tumhaare daam ke
[ halqa = ring/circle, daam = net/trap ]
6. shaah ke haiN GHusl-e-sehat ko KHabar
dekhiye kab din fireiN hammaam ke
[ GHusl = bath, sehat = health, hammaam = a hot bath where a masseur
gives massage and bath ]
7. ishq ne ‘GHalib’ nikamma kar diya
warna ham bhee aadmee the; kaam ke
No comments:
Post a Comment