Pages - Menu

Pages

Mirza Ghalib. Poetry in Roman Urdu


1. har ek baat pe kehte ho tum ke ‘too kya hai’ ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
[ guftgoo = conversation ]

2. na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?
[ barq = lightning, tund = sharp/angry, KHoo = behavior ]

3. yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?
[ rashk = jealousy, ham_suKHan = to speak together/to agree,
KHauf = fear, bad = bad/wicked, aamozee = education/teaching,
adoo = enemy ]

4. chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
[ pairaahan = shirt/robe/cloth, haajat = need/necessity,
rafoo = mending/darning ]

5. jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
[ justjoo = desire ]

6. ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?

7. woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?
[ bahisht (or bihisht, both are correct) = heaven, baada = wine,
gul_faam = delicate and fragrant like flowers, mushkaboo = like
the smell of musk ]

8. piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?
[ KHum = wine barrel, qadah = goblet, kooza/suboo = wine pitcher ]

9. rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
[ guftaar = speech/discourse ]

10. bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN ‘GHalib’ kee aabroo kya hai ?

[ musaahib = comrade/associate ]

No comments:

Post a Comment