Poetry in Roman Urdu


1. husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai
us’se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai
[ mah = moon, KHursheed = sun, jamaal = beauty ]

2. bosa dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah
jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha hai
[ bosa = kiss ]

3. aur baazaar se le aaye agar TooT gaya
saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai
[ saaGHar-e-jam = Badshah Jamshed's cup, jaam-e-sifaal = clay cup ]

4. be_talab daiN to maza usme siwa milta hai
woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai
[ be_talab = without any enquiry, gada = beggar, KHoo = habit ]

5. unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq
woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai

6. dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiz ?
ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai
[ ushshaaq = lovers, faiz = profit ]

7. ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya
jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha hai
[ ham_suKHan = together, tesha = axe ]

8. qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye
kaam achchaa hai woh, jiska ma’aal achcha hai
[ ma'aal = result ]

9. KHijr SultaaN ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz
shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai
[ KHijr SultaaN = one of Badshah Zafar's son, KHaaliq = The Creator/
God, akbar = greatest, sar_sabz = fertile, nihaal = tree ]

10. hamko ma’aloom hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ke KHush rakhne ko, ‘GHalib’ yeh KHayaal achcha hai

0 comments:

Post a Comment