Translation with Roman Urdu
Khuda ne husne se ek roz ye sawal kiya
Jaha main kiyun na mujhe tune la zawal kiyaMilla jawab ke tasveer khana hai dunya
Sheb daraz adem ka fasana hai dunya
Hoye hai rang-e-tger se jab namod us ki
wohi hussan hai hakikat la zawal hai jiss ke
Kaahe kareeb tha, ye guftugu kamar ne sunne
Falak pe aam hoye, akhtar-e-sehar ne sunne
Sehar ne Tare se Sun kar Sunaye sabnam ko
Falak ne baat bana di zamee ke mehrem ko
Bar aaye Phool ke aansu payam sabnam se
Kali ka nanha sa dil khoon ho gaya gam se
Chaman se rota hoa mosam-e-bahar gaya
Shabab sher ko agaya tha, Sogwar Gaya.
0 comments:
Post a Comment