Sahir Ludhianvi Poetry


Sahir Ludhianvi (8 March 1921 – 25 October 1980) was a popular Urdu poet and Hindi lyricist, who worked extensively in Hindi films. Sahir Ludhianvi is his pseudonym. He won the Filmfare Award twice, in 1964 and 1977, and in 1971 was awarded the Padma Shri.

Gham is kadar barhey ke mein ghabra ke pee gaya

Gham is kadar barhey ke mein ghabra ke pee gaya,
Is dil ki be-basi pe tarss kha ke pee gaya,
Thukra raha tha mujh ko bari der se jahan,
Main aaj sab jahan ko thukraa ke pee gaya..



Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye!


Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye!
Koi suhana iqrar kijiye,
O sharmaana kesa, ghabrana kesa,
Jeene se pehle mar jaana kesa,
Aanchlon ki chaaon mein,
Ras bhari fizaon mein,
Is zindagi ko gulzar kijiye,

Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye,

Aati baharain, jaati baharain!
Kab se khari hain bandhey qatarain,
Chaa rahi hai bekhudi,
Keh rahi hai zindagi,
Jee ki umangain beidaar kijiye,

Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye!

Dil se bhula ke ruswaayion ko,
Jannat bana le tanhayion ko,
Aarzuu jawan hai,
Waqt meherbaan hai,
Dil ko na jane hosheyaar kihjiye,

Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye!


Sangay mar-mar se tarasha hua ye shukh badan


Sangay mar-mar se tarasha hua ye shukh badan
Itna dil kash hai ke apnanay ko ji chahta hai

surkh honton mein terkti hai ye rangeen sharaab
jisay pe kar bhahak janay ko ji chahta hai

naram seenay mein darktay hain woh nazuk tufaan
jin ki lahroon mein utar janay ko ji chahta hai

Tum se kya rishta hai, kab se hai, yeh maloom nahin,
Lekin is hussn pe mar janey ko jee chahta hai,

Rakh ley kal ke liye yeh doosri pazeb dil,
Kal is bazzm mein phir aney ko jee chahta hai,

Be-khabar soye hain woh loot ke neendain meri,
Jazba-e-dil pe tarss khaney ko jee chahta hai,

Kab se khamosh ho aye jane jahan kuch to bolo,
Kya abhi bhi sitam aur dhaney ko jee chahta hai,

Chorr kar tum ko kahan chain miley ga hum ko,
Yahin jeeney yahin mar janey ko jee chahta hai,

Apne hathon se sanwara hai tumhein qudrat ne,
Dekh ker dekhte reh jane ko jee chahta hai,

Noor hi noor jhalakta hai haseen chehre se,
Bas yahin sajde mein gir janey ko jee chahta hai,

Mere daman ko koi aur na chuu paye ga,
Tum ko chuu kar kasam yeh khaney ko jee chahta hai,

Chand chehra hai tera aur nazar hai bijli,
Aik ik jalwe pe mar janey ko jee chahta hai,

Chand ki hasti hi kya samne jab suraj ho,
Aap ke kadmon mein mitt janey ko jee chahta hai…



















0 comments:

Post a Comment