Motivational Poetry

Selected Urdu Motivational Poetry Collection

Allama Iqbal 's Poetry

Best Selected Poetry of Allama Iqbal

Two Lines Poetry

Sad And Romantic Two Lines Poetry in Urdu

Romantic Poetry Collection

Worlds Best Selected Romantics Urdu Lines

Ahmed Faraz Urdu Poetry

Best Collection of Ahmed Faraz 's Urde Poetry

Dil Main Raha Woh Choor Ke Janay Ke Baad Bhi

Guzray-Huay-Taweel-Zamanay-Ke-Baad-Bhi

Guzray Huay Taweel Zamanay Ke Baad Bhi
 Dil Main Raha Woh Choor Ke Janay Ke Baad Bhi

Pehlu Main Reh Ke Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib
 Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Ke Baad Bhi

Qurbat Kay Baad Aur Bhi Qurbat Ki Talash
 Dil Mutmain Nahin Hai Teray Aanay Ke Baad Bhi

Go Tu Yahan Nahin Hai Mager Tu Yahein Pay Hai
 Tera Hi Zikar Hai Teray Janay Kay Baad Bhi

Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahin Hai Ussay Adeem
 Dil Ka Tamam Haal Sunanay Kay Baad Bhi

Mil Jayein Tu Jeevan Saja Detay Hain - Urdu Sad Poetry

Mil-Jaye-Tu-Urdu-Sad-Poetry

Mil Jayein Tu Jeevan Saja Detay Hain Lekin
Bachere Tu Duaon Se Bhi Nahi Milte Kuch Log..




Related Shairy:-
  • Urdu Dukhi Shairy
  • Urdu Dukhi Poetry
  • Urdu Dukhi Lines
  • Urdu Dard Bari Shairy

Urdu Dard Poetry - Sacchi Mohabbat

Dard-Urdu-Poetry

Zaroori toh nahi jo khushi de usi se pyar ho
Sacchi Mohabbat to aksar dil todne wale se hi hoti hai.



Kyun Bhool Gaye Hum Ko


Kyun Bhool Gaye Hum Ko,  Rishta To Purana Tha.
Ek Yeh Bhi Zamana Hai Ek Woh Bhi Zamana Tha.

Rangeen Fizayein Thi Shokh Adayein Thi.
Jazbon Ki Jawani Thi Mosam Bhi Sohana Tha.

Seene Se Lagaya Tha Ankhon Pe Bithaya Tha.
Maloom Na Tha Tum Ko Yun Chhor Ke Jana Tha.

Kyun Humse Khafa Ho Tum Kyun Humse Juda Ho Tum.
Kya Jurm Hua Humse Itna To Batana Tha.

Nafrat Se Bhari Nazrein Aik Jaan Hi Le Bethi.
Tukre Bhi Kiye Dil Ke , Kya Khoob Nishana Tha.


Phir Nahi Baste Wo Dil

sad-urdu-poetry

Phir Nahi Baste Wo Dil Jo Ek Bar Ujarte Hain
Kabrein Jitne Bhi Sanwarlon Waha Ronak Nahi Hoti

Koi Na Milay To Kismat Se Gila Nahi Kartay!

koi-na-milay-to-kismat-se-nahi-karte

Koi Na Milay To Kismat Se Gila Nahi Kartay!
Aksar Log Mil Kar Bhi Mila Nahi Kartay!

Har Shaakh Par Bahaar Aati Hy Zaror!
Par Har Shaakh Par Phool Khila Nahi Kerta...

Jis Ka Dard


Hurf-e-tasalli to aik takalluf hai, 
Jiska dard usi ka dard,baaki sab tamashaie.

Koun Kehta Hai Nafraton Main Dard Hai- Urdu Poetry of Mohsin Naqvi

Urdu Poetry of Mohsin Naqvi

Koun Kehta Hai Nafraton Main Dard Hai Mohsin
Kuch Mohabbatein Bhi Bade Aziyat Naak Hoti Hain,