Motivational Poetry

Selected Urdu Motivational Poetry Collection

Allama Iqbal 's Poetry

Best Selected Poetry of Allama Iqbal

Two Lines Poetry

Sad And Romantic Two Lines Poetry in Urdu

Romantic Poetry Collection

Worlds Best Selected Romantics Urdu Lines

Ahmed Faraz Urdu Poetry

Best Collection of Ahmed Faraz 's Urde Poetry

Bohat Soocha Bohat Samjha

Bohat-Soocha-Bohat-Samjha

Bohat Soocha Bohat Samjha Bohat Hi Dair Tak Parkha 
Keh TANHA Ho Kar Jee Lena MUHABBAT Se To Behtar Hai

Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,

Dhuwan-Banake-Fiza-mein-uda-diya-mujhko

Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Kisine Bujha Diya Mujhko,

TariQeeyon Ka Fasana Suna Diya Mujhko, 
Abhi Hansa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha, 
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,

Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar, 
Faseel-E-Sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko,

Khara Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye, 
Sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,

Na Jaane Kaunsa Jazba Tha Jisne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Dushman Bana Diya Mujhko..

Dil Main Raha Woh Choor Ke Janay Ke Baad Bhi

Guzray-Huay-Taweel-Zamanay-Ke-Baad-Bhi

Guzray Huay Taweel Zamanay Ke Baad Bhi
 Dil Main Raha Woh Choor Ke Janay Ke Baad Bhi

Pehlu Main Reh Ke Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib
 Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Ke Baad Bhi

Qurbat Kay Baad Aur Bhi Qurbat Ki Talash
 Dil Mutmain Nahin Hai Teray Aanay Ke Baad Bhi

Go Tu Yahan Nahin Hai Mager Tu Yahein Pay Hai
 Tera Hi Zikar Hai Teray Janay Kay Baad Bhi

Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahin Hai Ussay Adeem
 Dil Ka Tamam Haal Sunanay Kay Baad Bhi

Jis Ke Intizar Mein Qarar Bohat Hai,

Intezar_poetry

Jis Ke Intizar Mein Qarar Bohat Hai,
Us Ka Milna Bhi Dushwar Bohat Hai,
Woh Jo Mera Hathon Ki Lakeeron Main Nahi,
Us Nadam Se Humain Pyar Bohat Hai.

Tum The Tu Kahi Waqt Theharta Hi Nahi Tha

Waqt-Theharta-Hi-Nahi-Tha

Tum The Tu Kahi Waqt Theharta Hi Nahi Tha
Ab Waqt Guzarne Main Bohat Waqt Lagta Hai

Wo pyar ka saboot dikhaya karta tha

Best-Selected-Urdu-Poetry

Wo pyar ka saboot dikhaya karta tha
Aansoo baha kar mujhe manaya krta tha

Ye zindagi sirf tumse wabasta hai
Aksar ye baat mujhe bataya karta tha

Usski baaton mein kuch aisa asar tha
Main barish ke bina hi bheeg jaaya karta tha

Sone ki fursat kis ko thi
Wo mujhe sari raat jagaya karta tha

Bechaini jab hadh se barh jaati thi
Wo ji bhar ke galay lagaya karta tha

Wo itni muhabbat karne wala badal gaya
Jo saath nibhane ki qasam khaya karta tha

Ajeeb Hunar Hai Mere Hath Mein Yeh Shair Likhnay Ka,

Hunar-Urdu-Poetry

Ajeeb Hunar Hai Mere Hath Mein Yeh Shair Likhnay Ka, 
Main Apni Barbadi Likhta Hoon Aur Log Wah Wah Kertay Hain

Umar-e-daraaz maang ke

Umar-e-daraaz-maang-ke-urdu-poetry

Umar-e-daraaz maang ke laaye they chaar din,
Do aarzu mein katt gaye do intizaar mein..

Us Zakhm Ke Bharne Mein

Us Zakhm Ke Bharne Mein-urdu-poetry

Us Zakhm Ke Bharne Mein Bohat Dair Lagti Hai, 
Jis Zakhm Mein Shamil Hoon Aapnon Ki Anayat..!!