Mujhe Tum Bohat Yaad Aate Ho
Moqader Ke Sitaroun Par
Zamanun Ke Asharoun Par
Udasi Ke Kinaroun Pay.....
Kabhi Weeran Sheroun Main
Kabhi Sunsan Rastoun Par
Kabhi Heran Aakhoun ......
Kabhi Bejan Lamhoun Par
Tumhari Yaad Chupke Se
Koi Sarghohi Karti Hain
Yeh Paikain Bhrrg JAti Haiun
Our Aanso Toot Jate Hain
Hum Palkoun Ko Jhukate Hain
Be- Zahhir Muskurate Hain
Faqat Itna Hi Kehte Hain
MUjhe Kitna Satate Ho
Zaid MUjhe Tum Bohat Yaad Aate Ho
Kyun Bhool Gaye Hum Ko
Kyun Bhool Gaye Hum Ko, Rishta To Purana Tha.
Ek Yeh Bhi Zamana Hai Ek Woh Bhi Zamana Tha.
Rangeen Fizayein Thi Shokh Adayein Thi.
Jazbon Ki Jawani Thi Mosam Bhi Sohana Tha.
Seene Se Lagaya Tha Ankhon Pe Bithaya Tha.
Maloom Na Tha Tum Ko Yun Chhor Ke Jana Tha.
Kyun Humse Khafa Ho Tum Kyun Humse Juda Ho Tum.
Kya Jurm Hua Humse Itna To Batana Tha.
Nafrat Se Bhari Nazrein Aik Jaan Hi Le Bethi.
Tukre Bhi Kiye Dil Ke , Kya Khoob Nishana Tha.
Subscribe to:
Posts (Atom)















Hi! This is Narinder V.Thonthia from Karachi Pakistan and He is Certified Web And Graphics Designer, Programmer and the Entrepreneur of NVJ Web Developers & Designers He is running two successfully Blog
Hi! This is
Avinash T. Maheshwary, He is Our Gold Star Contributor in This Site 