Main ne dekha tha un dino mien usse
jab wo khiltay gulab jesa tha
uski palkoon se neend chanti thi
us ka lehja sharab jesa tha
us ki zulfoon se bhegti thi ghatta
us ka rukh mahtaab jesa tha
log parhtay thay khal o khad us ke
wo adab ki kitab jesa tha
bolta tha zuban khushbu ki
log suntay thay dharkanooon mien usse
Main ne dekha tha un dino mien usse
sari ankhien thein aainay uske
saray chahroon mien intekhab tha wo
ye khawab hai ke wo haqeqat tha
ye haqeqat hai ke koi khawab tha wo
sab se ghul mil ker ajnabi rahna
ek darya numa sarab tha wo
apni neendien usi ki nazr hoein
meine paya tha ratjagoon mein usse
Main ne dekha tha un dino mien usse
jab wo hans hans ke baat karta tha
dil ke khemay mein raat karta tha
rang parhtay thay aanchaloon mien usse
Main ne dekha tha un dino mien usse
ye magar daer ki kahani hai
ye magar door ka fasana hai
us ke mere milaap mein haail
ab to sadiyon bhara zamana hai
ab to yeh ke haal apna bhi
dasht e hijran ki shaam jesa hai
kia khabar in dino wo kesa hai??
0 comments:
Post a Comment