Apni ruswai aur tere naam ka charcha dekhon (Parveen Shakir)



Apni Ruswai Parveen Shakir

Apni ruswai aur tere naam ka charcha dekhon
Ek zara Shair kahon aur mein kia kia dekhon..

Neend aa jaye to kia mehfilain barpa dekhon,
Aankh khul jaye to tanhai ka Sehra dekhon,

Shaam bhi ho gai, dhundla gain aankhain bhi meri,
Bhoolne wale, mein kab tak tera rasta dekhon...?

Sab zidain is ki mein poori karon, har baat sunon,
Aik bache ki tarha use hansta dekhon....

Mujh pe chah jaye jo barsat ki khushbu ki tarha,
Ang ang apna usi rut me mehakta dekhon...

To meri tarha se yakta hai mager mere habeeb,
Jee mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhon...

Mein ne jis lamhe koi pooja hai usy bas ek baar,
Khwab ban kar teri aankhon me utarna dekhon...

Tu mera khuch nahi lagta hai, magar jaan-e-Hayat,
Jane kion tere liye dil ko dharakta dekhon..

-------------------------------

0 comments:

Post a Comment